Sunday, August 09, 2009

Samay ke Samandar

Samay ke Samandar mein doobti hai kismat kabhi,
Aur kabhi doob ke ubhar jaati hai..
Bas ek Sawal hai ki zindagi ki yeh leher,
Na jaane Kis Saahil pe jaake ruk jaati hai..



.

Sunday, January 04, 2009

_________

Zindagi mein is paar hum khush toh hain,
Par aaj us paar hone ka mann kar raha hai..
Haste toh hum gamon pe hamesha hi hain,
Par aaj gee bhar ke rone ka mann kar raha hai.

.